Summary of Nirankari Baba Ji’s Blessings (25-Dec-14, Delhi)
Summary of Baba Ji’s Blessings (25-Dec-14, Delhi) –
Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji
1) Jitne bhi Peer Paigambar aaye, unhone iss 5 tatv ke shareer mein hi janm liya aur manav ko andhkaar se door karne ke sandeshe diye, unhone jaagriti pradaan ki aur insano ko realization karvaayi. Bhagwan Krishn ke samay mein bhi jab Kans ke kaano mein awaaz padi toh usne har shishu ko marva diya ki kahi mera na ant ho jaaye. Isi tarah Hazrat Isah Massih Ji ke samay bhi yahi hua ki andhkar ko hamesha bhey raha ki kahi mera khaatma na ho jaaye.
2) Iss Parmatma Ishwar Nirankar se naata jodne ke liye aur andhkaar mitaane ke liye hi Peer Paigambro ne yogdaan diye. Unpar aneko kathinayaan bhi aayi par unhone paropkar karne ka tyag nahi kiya. Aaj bhi Peer ka janm manaya ja raha hai, jisko hum Christmas kehte hain, unke janm ki tareekh aur janm sthaan ko lekar vibhin vichar dharaayein hui hain. Lekin jis kaaran unhone janm liya, jo paigaam unhone diya, jo Love Tolerance Compassion ka tha, uspar adhik dhyaan dene ki aavashyakta hai aur usi ki kami aaj sansaar mein dekhi ja rahi hai. Jesus ko bhi aneko yatnayein di gayi aur unko sooli par chadaaya gaya. Toh jo Love aur Tolerance ki shiksha de rahe the, unhi ko tolerate nahi kiya gaya, jo daya ka sandesh de rahe hain unhi ke prati nirdayta ke pramaan diye gaye. Toh sansaar mool ki taraf kabhi nahi bada, Satye se naata nahi joda aur doosre pehluon mein hi uljhe rahe.
3) Aaj jo danavta, kroorta aur nirdayta dekhne ko mil rahi hai ki bachcho ka bhi lihaaj nahi kiya jaata hai. Toh Peero ki shikshayein hi sansaar ke bachaav ka kaaran hai varna manav jaati kalankit hoti chali ja rahi hai. Sardiyon ke din hum dekh rahe hain, ek taraf thithurti hui sardi hai aur ek taraf mann mein nafrat ke angaar jalte dekhe jaate hain. Hazrat Isa Massih Ji ko bhi log nafrat se dekhte the, bura hi manta rahe, unke disha nirdesh aur sandesho ko tajne ke kaaran hi manav insaaniyat se door nikal gaya hai aur saari dharti aisi peeda se guzar rahi hai.
4) Insaan jab-jab bhi Satye ko bhulaata hai, tab-tab hi humne ye insaan ka gira hua rutba dekha hai. Toh Mahapursho ne aaj ye baat yaad karaayi hai ki hum Peero ki teachings ki taraf dhyaan de, tabhi hum dharti ko gulzar bana sakte hain, ‘Love All, Hate None’. Sabse Pyar karna hai, kisi se ghrina nahi karni hai. Sahensheelta aur Tolerance ko apnana hai, vo agar meri bhasha, meri koum, mere pehraave jaisa nahi hai, toh bhi use tolerate karna. Mahapursho ke sandesh hamesha hi tolerance waale rahe hain, kroorta, nirdayata waale nahin, milvartan aur bhaichaare waale rahe. Sabhi iss haqiqat ko jaane.
5) Hazrat Isa Masih Ji ki shikshao ko yaad karne ke saath agar insaan use apna le, toh ye dharti ka swaroop badal jaaye aur sukhad Jeevan ban jaaye. Bible mein bhi baar-baar Satin ka zikr aata hai ki Satin ne kis kadar kadam-kadam par apne daav lagaane ki koshish ki Hazrat Isah Massih Ji par bhi, lekin uska daav nahi chala. Vahi Satin yaani shaitaan ka asar insaan par hai, shaitaaniyat aur haivaaniyat prabal hai aur Divinity mann mein nahi aayi hai. Shaitaniyat ki taraf jaane waali pravirti yaani kaam, krodh, lobh, moh, ahanakar ki taraf pravirti prabal ho jaati hai jab Satye ke ujaale se hum aankhein moond lete hain, phir Jeevan mein andhkar aa jaata hai.
6) Paigambron ki shikshaon ka mahetv har yug aur har daur mein rehta hai. Insaan ke bhale ke liye hi ye tamaam shikshaayein rahi hain. 2000 baras pehle Hazrat Isa Massih Ji ne shiksha di toh tab bhi buri pravirtiyan rahi aur aaj bhi hum vahi dohra rahe hain. Insaan har baar inhe nazar andaaz karta hai. Mahapursho ke jo janmdin manaaye jaate hain, uske peeche unke dwara di hui den ki taraf sabka dhyaan chala jaaye, unhone Nirankar Parmatma se hi naata joda tha. Hum bhi unka anusaran karke apni aatma ka udhhar karein, apni soul ko iss supersoul se jodein.
7) Pyar, Karuna, Daya waali bhaawnao se yukt hokar Jeevan jeene ke liye hi Sant sada prerit karte hain, jahaan hum apna udhhar karein wahaan sansaar ke prati yogdaan dein. ‘Love thy neighbor’ ki shikshaon ko apnayein, har ek ke prati Pyar ka bhaav rakhein. Joh bhi koi hamare kareeb aata hai, humse milta hai, hamaare paas khada hota hai, vahi hamara neighbor ho jaata hai. Jo paath(lesson) unhone padaaya, uska agar anusaran kar liya jaaye toh ye dharti swarg ban jaaye.
8) Aaj Christamas ke din aap sabhi yahaan upasthit hue hain, unhi ko shikshao ko yaad karte hue, aisi shikshaye har Peer Paigambar ki rahi hain, toh aisi parathna, shubhkamna aur ardaas hai ki sabhi apna bhi bhala karein aur auron ka bhi bhala karne waale banein.
Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Recent Comments